wo dher kanch ka tha kisi ne rakh samajh kar jise tatola tha ajib rang the raqsan nigah ke aage hatheli risne lagi to guman sa guzra kahin ye khun ke chhinton ki surkhiyan to nahin magar wo dard kahan hai jo sukh nigalta hai jo jism-o-jaan mein utra hai ab thakan ban kar kahin se aah-o-buka ki sadaen aati hain ye nim andhera bada karbnak lagta hai bujhe hue wo sharare hain ya koi aahu palat ke dekh to le rakh ranj kanch kahin chubh na jaen aankhon mein ye waqt jis ke palatne ki aarzu le kar hawa ke dosh pe aahen udae jata hai