choga chunti chidiya teri palkon par ugne wale khwabon ke ankhue kaun chun sakta hai tu to ye bhi nahin jaanti jaane kab koi maili nazron ka jal tujh par phenke aur tu be-nur aankhon ke pinjre mein qaid ho kar tamam umr ke liye chahakna bhul jae chidiya tu to pagli hai choga chunti khwab dekhti hai tujhe kya malum hai kabhi kabhi khwabon ki mang bharne ke liye aankhon ki viran khidkiyon se thithure hue rut jage bund bund dil ki zamin par tapakte hain to wahan dur dur tak udasi bhara jangal ag aata hai jis par siwae dukh dard ke koi phal nahin lagta magar bholi chidiya tu ye sab nahin jaanti shayad kabhi jaan bhi nahin sakti