hawa ko aawara kahne walo kabhi to socho, kabhi to likkho hawaen kyun apni manzilon se bhatak gai hain na un ki aankhon mein khwab koi na khwab mein intizar koi ab un ke sare safar mein subh-e-yaqin koi na sham-e-sad-e'tibar koi na un ki apni zamin koi na aasman par koi sitara na koi mausam na koi khushbu ka istiara na raushni ki lakir koi, na un ka apna safir koi jo un ke dukh par kitab likkhe musafirat ka azab likhe hawa ko aawara kahne walo kabhi to socho!