roz-o-shab ka waqfa karb-o-musarrat sham kahte hain jise kyunkar guzaren qarz sanson ka utaren ya rukh-e-hasti nikhaaren kaun hai dil ke siwa us karb-e-raaz-e-pikaran main apne sath ab kise aawaz den kis ko pukaren sham-bhar ki fursat-e-gham yun guzaren dhul mein ate hue ek raste par ek goshe ke khala mein kaenat aabaad hai ek chae-khane ki jahan din dhalte aae din hawa-e-sham mezon kursiyon ki daera dar daera shakhon mein phaila ek shajar-e-gham ka uga deti hai jis ke sae mein bikhre hue patton ki surat sare din ki sang-bari se shikasta reza reza aaine bikhre hue milte hain jin ke sare zakhmi aks apni ruh ke apni ana ke aarzuon khwahishon mahrumiyon aur hasraton ke ujde aalam hain wahi hai rahguzar pathrili sanson ki wahi bipta wahi hum hain wahi hai zindagi is tund-khu bezar budhe ki tarah jo apne mathe par shikan dale khafa baitha hai sab se aur sab mein chae ke kadwe kasile ghunt pyalon mein undele bantta hai aur har pyale mein us ke mathe ki taza shikan ka aks hai ye zindagi har sham us budhe ki manind apna mela aks dohraati hai aur ye zindagi ek tez-pa maghrur motor-kar ki surat khas-o-khashak ke baadal udati aur hamare chashm-o-sar mein jhonkti hai hum chale aate hain phir bhi sham ke us dast mein jis ke musafir har tarah ke log hain kuchh log jo ek chae ki pyali se aane wale din ki kaamrani ka munawwar aks le jate hain jin ki guftugu hi besh-o-kam ke fikr se aage nahin badhti