zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim jaeza leta hun har mod pe shair ka dimagh har badalte hue manzar pe nazar rakhta hun aur tarik si raaton mein jalata hun charagh zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim jhilmilate hue aanchal mein sukun dhund chuka ek tabassum ke liye ek ishaare ke liye apne jazbaat mein andaz-e-junun dhund chuka zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim parda-e-saz mein ek git chhupaya tha kabhi apne ehsas ki parwaz badhane ke liye yaad hai madh-bhari aankhon ko rulaya tha kabhi zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim ye jhapakti hui palken hain ye lab ye rukhsar ye to zulfen nahin sawan ki ghataen hongi han yahi to hain khayalat ke rangin shahkar zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim main ne ek bar hi chheda tha mohabbat ka rabab sans jalne lagi thi jism laraz uttha tha main ne pine ke liye sirf undeli thi sharab zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim husn ko rahguzar-e-am pe chalte dekha ek hi samt inayat ke dhaare na rahe main ne pani kai soton se ubalte dekha zindagi ki sabhi rahon se guzarta hun nadim main ne ghutte hue kamre mein dhuan dekha hai tang galiyon mein banawat ki hansi bikti hai dur ek taq pe mitti ka diya jalta hai