hawa se baat karo kaho ki us ki lagai hui girah na khuli wo dhul tham na saki dil ke rukh jo udti thi wo gard uthi nahin jo aainon pe baithi thi saba se baat karo saba se baat karo kya sawal tha us ka visal jis ka tayyun na tha judai se kise pukar gaya sada se baat karo yahi ki jin ko sar-e-dasht-o-bar pukara gaya wo sar-kashida qabail ki sar-phiri aulad kis zamin mein khapi kis falak ka rizq hui qaza se baat karo qaza se baat magar kya ki har qabila-e-dard ek aise jabr-e-azal-yab ka hawala hai jo pahle din ki gawahi sanad mein lata hai agar jawab se phir ek sawal banta hai fana ke waste kyon bab-e-harf baz rahe baha jahan ki la hai to la se baat karo ibtida se baat karo