kyon chali kaise chali ulti zamane ki hawa kya lahu ek nahin ek bhai ne kisi bhai ka ghar lut liya qatl mamta ko kiya nur-e-nazar lut liya chhin li kanpte honton se jawani ki dua kya lahu ek nahin aadamiyyat ko numaish mein saja rakkha hai dharm ko jaise kitabon mein chhupa rakkha hai jaise ehsas-e-mohabbat hai qayamat ki bala kya lahu ek nahin azmat-e-amn ka paigham chale the le kar baada-e-sabr ka bhi jam chale the le kar shisha-e-zabt to nazuk tha magar tut gaya kya lahu ek nahin sath diwane chale ek hi manzil ke liye ek kashti thi rawan ek hi sahil ke liye maqsad-e-zist magar ja ke kahin dub gaya kya lahu ek nahin apne hi khun ki barkha mein nahae hai samaj koi puchhe to dahakte hue shoalon ka mizaj aag ye kis ne lagai ye makan kis ka jala kya lahu ek nahin apni laghzish pe nadamat ka sahaara de de aaj phir amn-o-mohabbat ka kinara de de kya hua kaise hua yar mere bhul bhi ja kya lahhu ek nahin