shiddat-e-iflas se jab zindagi thi tujh pe tang ishtiha ke sath thi jab ghairat o ismat ki jang ghat mein teri raha ye khud-gharaz sarmaya-dar khelta hai jo barabar nau-e-insan ka shikar rafta rafta lut li teri mata-e-abru khub chusa teri rag rag se jawani ka lahu khelte hain aaj bhi tujh se yahi sarmaya-dar ye tamaddun ke khuda tahzib ke parwardigar samne duniya ke tuf karte hain tere nam par khalwaton mein jo tere qadmon pe rakh dete hain sar raste mein din ko le sakte nahin tera salam raat ko jo tere hathon se chadha jate hain jam tere kucha se jinhen ho kar guzarna hai gunah garm un ki sans se rahti hai teri khwab-gah mahfilon mein tujh se kar sakte nahin jo guftugu tere aanchal mein bandhi hai un ki jhuti aabru pet ki khatir agar tu bechti hai jism aaj kaun hai nafrat se tujh ko dekhne wala samaj