wo dur pyasi zamin ko dekho ki jis ke daman ki wusaton mein zaruraten le rahi hain angdaiyan musalsal ufuq ufuq par undelti hain sarab karti hain har jihat ko ghubar pahnaiyan musalsal wo dur pyasi zamin ko dekho jhulasti aankhon se dekhti hai falak ki jaanib dahakte honton se chahti hai sulagte lahje se kah rahi hai koi to ho jo meri shikasta ana ke lashe pe chaar aansu bahata jae ye pyas meri mitata jae hawa ke jhonke abhi abhi ye payam lae ki dur pyasi zamin ke sine pe dagh ban kar baras chuki hain do-chaar bunden