suno aisa bhi kabhi hota hai kya ki chhe raaton pe ek khidki se tin mausam utre hon aur satwen din ki bhaari raat mein aasmani balaen kaenat ke mukammal hone ke dukh mein shab-e-hijr manati hon chhe din khuda ne meri mitti ko gundha aur satwin raat mujhe sans phunk kar duniya ke hawale kar diya gaya duniya jis mein sat rang qaus-o-quzah ke aur aathwan rang bahaar bhanwaron ke nathunon se ho kar zahrila ras banate hain jo mohabbat ke nam par fursat ki khali shishiyon mein bhar bhar kar muft banta jata hai ras bhare jhuton ka zaiqa chakh chakh kar sach mere wajud mein matli ki tarah tairta hai jab bhi yun hi khidki se mausam utarte hain mere jism se sondhi mitti ki khushbu uthti rahti hai aur har chhate din ki satwen raat ka tawaf mukammal hone par hijr meri aankhon ko chum chum kar sang-e-siyah bana deta hai bolo aisa bhi kabhi hota hai kya ki patthar aankhon se kanch ki khidki ke par utarte mausamon ki badalti ruton ko dekha ja sake to kyun na phir aafaqi balaon ki saf mein sharik ho kar kaenati shab-e-hijran ka abadi matam manaya jae