zindagi azal se sare paniyon ko ubur karti hui phir ek sangam par aa thahri hai qadamat ki kokh mein nai chingariyan sulag rahi hain jaise naya suraj chamakne ko hai laton se dariyaon ke sote daur-e-jadid ka badal nahin ho sakte sochta hun tum kis zamane mein mere wajud ka hissa the lekin kisi dewta ne jaane kyon mere wajud se tumhein alahada kar diya main khud ko talash karta rahun justuju mere khwabon ko chhuti rahi ek naya daur aaega jahan fasle nahin honge