samundaron ke muhib tufan mere azaem ke sahilon se shikast kha kar palat chuke hain main kohsaron ki hastiyon se bhi aasman ka waqar ban kar ulajh chuka hun main jangalon ki hawaon ka zor tod deta raha hun apne nafas ki shorida satwaton se mere tafakkur ki garm-raftariyon se larzan rahe hain sahraon ke bagule ye zikr hai us tawil mazi ka main akela tha is bhari kaenat mein jab faqat meri jaan-gudaz tanhai saya ban kar thi sath mere main un dinon sochta tha mera wajud aaina-dar tab-o-tawan hai jis ko zawal-e-amadgi se nisbat nahin hai koi aur aaj jab ki ye mere bachche jinhen zamane ki aankh ne mere dast-o-bazu ka rup samjha meri tawanaiyon ke markaz ka aks jaana mere rag-o-pai mein ek ehsas-e-khauf har-dam ubhaarte hain to sochta hun main kitna kamzor ho gaya hun hawa ka ek na-tawan sa jhonka bhi un ke pahlu se jab guzarta hai lakh andeshe jag uthte hain mere dil mein ajib tashwish gher leti hai jism-o-jaan ki tamam tabinda wusaton ko main apne bachchon ko apni quwwat kahun ki be-himmati ka mazhar