aaj tum aise hanse jaise koi aazad kar de saikdon qaidi parinde shor karte aasman ki samt ya barish samundar par gire raftar mein ya dhup khil jae bhari barsat mein tum gunj ho khushiyon ke tyauhaaron ki jo hum bholpan mein apne bachpan ke safar mein bhul baithe hain tumhein kis ne kaha itna hanso ki baal khul jaen tumhein kis ne kaha ye sadgi ka zaiqa tajwiz kar lo kin bahadur raston par tum ne apne nam ki mohren lagai hain tumhein ye dhup ka zewar september ki nishani hai september mere honton meri aankhon mein samaya hai september aa chuka hai mere dil mein aur mere jism ke aahang mein tabdil hota ja raha hai tum hansi mein git hansti ja rahi ho kitna mushkil hai hansi ka git mein tabdil ho jaana bahut mushkil magar aise bahadur raston par sirf aazadi hansi ke git aur tere khule baalon mein purwai chalegi der tak aur dur tak