saje to kaise saje qatl-e-am ka mela kise lubhaega mere lahu ka wawaila mere nazar badan mein lahu hi kitna hai charagh ho koi raushan na koi jam bhare na is se aag hi bhadke na us se pyas bujhe mere figar badan mein lahu hi kitna hai magar wo zahr-e-halahal bhara hai nas nas mein jise bhi chhedo har ek bund qahr-e-afi hai har ek kashid hai sadiyon ke dard o hasrat ki har ek mein mohr-ba-lab ghaiz o gham ki garmi hai hazar karo mere tan se ye sam ka dariya hai hazar karo ki mera tan wo chob-e-sahra hai jise jalao to sehn-e-chaman mein dahkenge bajae-sarw-o-saman meri haddiyon ke babul ise bikhera to dasht-o-daman mein bikhregi bajae-mushk-e-saba meri jaan-e-zar ki dhul hazar karo ki mera dil lahu ka pyasa hai