hazrat-e-insan

jahan mein danish o binish ki hai kis darja arzani
koi shai chhup nahin sakti ki ye aalam hai nurani
koi dekhe to hai barik fitrat ka hijab itna
numayan hain farishton ke tabassum-ha-e-pinhani
ye duniya dawat-e-didar hai farzand-e-adam ko
ki har mastur ko bakhsha gaya hai zauq-e-uryani
yahi farzand-e-adam hai ki jis ke ashk-e-khunin se
kiya hai hazrat-e-yazdan ne dariyaon ko tufani
falak ko kya khabar ye khak-dan kis ka nasheman hai
gharaz anjum se hai kis ke shabistan ki nigahbani
agar maqsud-e-kul main hun to mujh se mawara kya hai
mere hangama-ha-e-nau-ba-nau ki intiha kya hai
This is a great zia anjum shayari. True lovers of tufani raat shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore aala hazrat shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close