kisi ne ye bataya tha ki bas tum aane wale ho bahut achchha kiya tum ne mera ye bojh kam hoga tumhaari chand chizen thin zara thahro mujhe kuchh yaad karne do hun han wafa ki be-asar qismen mohabbat ke kai dawe bahut be-rabt baaton ke kai tute hue tukde hansi ka khokhla-pan bhi purane se kai jhute bahanon ke zara kuchh ladkhadate dagmagate gadbadate se sabhi jumle mere kamre ki almari ya phir shayad daraazon mein kahin dekhe to the main ne yahin thahro main tum ko la ke deti hun bahut saman bikhra hai mera kuchh bojh kam hoga