raste ke pech-o-kham dushman sahi fasle hain munhasir raftar par kan mat dharna dil-e-azurda ki siskar par kya hua chullu jo chhalni hain abhi hont kyon hon tishnagi ke ishtihaar kya hua soche hue manzar jo hath aae nahin aankh sa dariya bane kyon reg-zar naz ho tahsil ka ya na-rasai ka malal har tag-o-dau hai qawi ka ishtial soch sakta hai khule dil se to bas itna hi soch shewa-e-hirman-o-yas achchha nahin zindagi ka yun libas achchha nahin tut kar salim bane rahna agarche hai fareb mo'tariz hota nahin koi magar ilhaq par baz takhliqi amal ke ma-siwa kaun sa ilzam aata hai kisi tiryaq par