ye jo tum meri khamiyan ginae ja rahe ho likh lun ke zara yaad rah jae karun main bhi ishq behad soch-samajh kar zindagi bhar ka mujhe bhi mafad rah jae ghazab masala hai ye mohabbat tumhaari suljha lo kahin wo lafz aur ye harakat tumhaari na tazad rah jae lete jao ye likhe khat bhi tumhaare mere aage badhne mein na ye fasad rah jae kab kaise aur kahan jaungi ab sab dekha jaega nam na mera mere baad rah jae tum bhi muskurao main bhi muskuraun chalte hain phir ab na koi inad rah jae