tez be-tartib dhadkan aur nafs phula hua zard chehra aur pasine se badan bhiga hua jism ke har ang mein jaise chubhe hun khar se jis tarah aasab mein har-dam rawan hon bijliyan lamha lamha be-qarari be-yaqini waswase ai meri jaan jab nahin hoti tu mere samne tu musalsal aisi kaifiyat hi mein rahta hun main