hidayat

wo patthar dil hai wo kya dard jaane
kabhi aate nahin aansu bahane

nahin in pe asar hota hai koi
bala se in ki jo rota hai koi

bahut aasan in ka rasta hai
mohabbat se inhen kya wasta hai

hai in ka pyar jhuta baat jhuti
farebi hai ye in ki zat jhuti

hai in ka kaam bas dhoka hi dena
na koi baat in ki dil pe lena

agar baaton mein in ki aaogi tum
qasam se phir bahut pachhtaogi tum

kabhi aisa na koi kaam karna
gharane ko na tum badnam karna

na ruswa zat ka tum nam karna
kabhi izzat ko mat nilam karna

ghalat hathon mein khud ko saunpna mat
koi paudha ghalat mat ropna mat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close