bap ne bete ko bulwa kar ye puchha kya hua imtihan ka aaj hi to tha natija kya hua ye kaha bete ne fauran apna sina tan kar aap khush honge yaqinan ye haqiqat jaan kar kam hi karte hain kiya jo aap ki aulad ne samne sab ke kaha mujh se mere ustad ne hum tumhein jaane na denge is jamaat se abhi tum hi raunaq ho yahan ki aur tum hi raushni aur barah mah tum aaram se rahna yahin in ko jaane do agar jate hain baqi ham-nashin sar-buland aur shadman school se aaya hun main kharch copy aur kitabon ka bacha laya hun main bap bola wah bete kar diya tu ne kamal khandan mein is tarah ki hai kahan koi misal fikr mat kar shan se aise hi tu school ja ek baras kafi na ho to panch chhe be-shak laga ye nasihat hai magar mat bap ki izzat se khel pas tu chahe na ho lekin kabhi hona na fail