huk uthti hai jala deti hai jism-o-jaan ko dil laraz uthta hai aankhon se dhuan uthta hai ye dhuan hijr ka tarik dhuan phailta jata hai bhar deta hai us wadi ko jis ke har goshe mein ek naqsh munawwar tha abhi koi saya koi khushbu se mahakta saya mujh ko chhuta tha mere dil mein utarta tha abhi pairahan mera mahakta hai abhi tak lekin kaisi tanhai hai aur dard hai khamoshi hai wo jo aa jae to ye dard bhi aawaz bane aur soya hua ye jism koi saz bane an-ginat tar jhanak jaen jhanakte hi rahen jal uthen chand kai zehn ke parde pe abhi aur andar ke samundar mein bhanwar pad jaen phir se khinchen hamein ek bar usi shiddat se ek madum se tarik se nuqte ki taraf wahi nuqta jise jaana bhi to an-jaana raha