be-shumar suraj aasman mein raushan hote hain aur zamin ke sine se dhuan uthne lagta hai tezi se badhte hue qadmon ki aahat aur tez hoti jati hai aur kab madum ho jati hai pata hi nahin chalta ujale ne hum se rangon ki shanakht chhin li hai hamari gardanon ki ragen suj gai hain ki naghme aur nale mein koi farq baqi nahin raha lakdiyan ab bhi tumhaare chulhon mein sulag rahi hain utho aur apne kiwadon ko nazr-e-atish kar do ki chand siyah pad chuka hai