tu pas tha ji ko chain kuchh tha tera jaana ki aafat aai nazron se chhupa jo tera chehra mere sar par qayamat aai baqi thoda sa din tha lekin meri aankhon mein tha andhera kyunkar ho sabr mujh se mumkin dil ko har-dam hai dhyan tera ai zulm ke aur sitam ke bani ai shokh jafa-shiar ayyar mujh ko dubhar hai zindagani meri aankhon mein hai jahan tar ai barq-misal ai trahdar ai mah-jabin ghazal-sirat mujh par tar-e-nafas hai ek bar mujh se koson pare hai rahat ghar-bhar sota hai ek betab aahen bhar kar tadap raha hai bhule bhi aankh ko nahin khwab zulmat-e-shab ki ajab bala hai hargiz hargiz mujhe mayassar aai koi ghadi na rahat kaisa kaisa raha hun muztar kitni kitni uthai zahmat dil ko hai sakht be-qarari jine ke pad gae hain lale dil ki haalat na ye mitegi jab tak tu hi na phir sambhaale mujh ko tanhai go satae tujh ko aish-o-tarab ho maimun mujh par aafat hazar aae tujh se khush-talai ho maqrun tujh se chhutna hai sakht mushkil jab tak hai hafize mein qudrat tera tera rahega ye dil jab tak na milae tujh se qismat