roz hi mere jaise hazaron mashaqqat bhari aag pi ke yahi sochte hain ki ahdaf ka ye parinda kabhi hath aaya nahin dusron se kahin tez daude hain lekin kabhi referee ne hamare liye jit ka shadiyana bajaya nahin kis liye daftaron mein hamari zamin par gul-e-mehrbani khile hi nahin yani darbar mein har koi tund-khui se dekhe hamein ab to circus ke ye buzne bhi hamein koi kartab sikhane ko tayyar hain un ko ghibat se murdar khane ki aadat purani sahi chaplusi zamane ki aadat sahi wo nahin jaante ki agar khet tar pe aaen to be-mausmi ghas ugne lage wo nahin jaante ki khuda ki zamin dekh kar to badan se utarte hain mere ye pedan, ye atharw ye hanwan te hade unhen to zaban se kisi dusre ke rag-o-pai mein bas apna bish gholna hai kisi dusre ki sadaqat pe tala laga ke khud apne liye jhut ka ek adna jahan kholna hai purani kahawat mein karan the chaalak lomdi jangal ke sheron ki barbaadiyon ke magar daftari dastan ye alag hai ki mardum-shanasi ke mahir hamein apni sargoshiyon mein to baghi qabilon ke sag mante hain magar wusaton ke parinde hamein apne takhil ke baal-o-par mante hain ki barah mahinon ki ye jang to maskhare jit hi jaenge aur hum bhi nai aag pine ko jigara naya laenge