yun to sab ke apne apne khwab hain jaise apna apna kafan aur kaun kis ke kafan ki utran pahan sakta hai lekin wo jo ek duje ki qabr mein so jaane ki khwahish mein dafn hue apne apne akele-pan ki udti mitti mein kya un ke bhi apne apne khwab the aao hum ik-duje ki khwabon ki tawil ghumti bhul-bhulayyon wali ghulam gardishon mein kho jaen aur ek dusre ki chap ki sada-e-bazgasht ban jaen aao hum ek hi fareb ke pichhe bhagne ki koshish karen aur azal aur abad ki tanaben khinch kar ek sath freeze frame ho jaen phir bhi sach hai ki sab ke apne apne khwab hain adhure adhure halki halki aanch mein sulagte rakh hote aur patjhad mein udte aur aansu kab tak patjhad sanwar sakte hain jab tak aansu dil mein girte rahte hain dil un ko sukhi dinon ki aas dila kar thapak thapak kar sulata rahta hai aur sari tapish jazb kar leta hai apni dhadakti khamosh raaton mein lekin jab koi ziddi aansu apne aap se ruth ke gir padta hai tab to dil bhi nahin manta koi phuslawa bas aansu bahne lagte hain chup-chap patjhad ke patton ki tarah thake thake qadmon ki manind pyare kya koi aisa bhi din hoga jab ye din aa jaega aur tab dil kitne sogwar ho jaenge aur hamare tute phute chehre ek dusre ko kaisi khoi khoi nazron se dekhenge sakit ho jaenge abad ke chaukhate mein aur pas-e-manzar mein saxophone ki siskiyan ubharengi aur ek shikasta khwab ki melody mein dhal jaengi phir bhi sach hai ki sab ke apne apne khwab hote hain lekin wo bhi to sach hai pyare