kaho pyare ki ye bazar hai mano ki ye bazar hai sachchai ka bazar tum sach sach batao dam chhab dikhlao gahak ki yahi marzi hai tum marzi ka sauda ho idhar ghumo jhuko kuchh aur jhuk jao ki jhukne hi se jhukti hai jise taqdir kahti hai ye duniya jis ko tum duniya samajhte ho sabhi shahron mein ye bazar hai lekin daricha dil ka khulta hai to is bazar ka manzar jhalakta hai main jhukta hun main jhukta hun koi mujh se ye kahta hai ki han kuchh aur jhuk jao taqaza hai taqazon ki ye duniya kitni sachchi hai badi pyari hai ye duniya daricha dil ka khul jae to khul jati hai zip pocket ki dobara daricha dil ka khulta hai magar dil ki kali chhodo ye baaten han ye baaten jhut hain sachchi hai ye duniya zara ek chhab dikhao ghum jao ghumte jao ki duniya ghumti hai gol hai pyare sabhi golaiyan apne kinaron se dhalak jati hain jab bazar suna ho utar jata hai ghaza aur dil kahta hai rone do kuchh itne zor se barso ki dhul jae ye gulshan khwahishon ka dil ki mitti se ugen kaliyan gulabon ki daricha dil ka khul jae to galiyon mein mahakte khwab khwabon se milen dil dil se mil jae