kahan tak khema-e-dil mein chhupaen apni aason aur pyason ko kahan tak khauf ke be-shakl sahra ki hatheli par kurede jaen aankhen aur lakiren raushni ki phir na ban paen hum insan ho ke bhi sae ki khushbu ko taras jaen chalo ek dusre ki khwahishon ki dhup mein jalte hue aangan ki virani mein aankhen band kar len aur baras jaen yahan tak tut kar barsen ki pani wasl ki mitti mein khushbu gundh le aur phir saron tak se guzar jae zamin se aasman tak ek hi manzar sanwar jae hamare raston par aasman apni gawahi bhej de khushbu bikhar jae zamin panw ko chhu le chandni dil mein utar jae hawa gar hijr ki sazish mein hisse-dar ban kar darmiyan aae hijr ke par bhig jaen aur hawa pani mein mil jae