bastiyan hon kaisi bhi pastiyan hon jaisi bhi har tarah ki zulmat ko raushni kaha jae khak dalen manzil par bhul jaen sahil ko rukh jidhar ho pani ka us taraf baha jae mulk bech dalen ya aabru rakhen girwi jaisa hukm-e-hakim ho us tarah kiya jae shor mein sadaon ke ajnabi hawaon ke kaun sunne wala hai? kis se ab kaha jae! guftugu pe pahre hain har taraf katahre hain raste muayyan hain har qadam pe likkha hai kis jagah pe rukna hai! kis taraf chala jae dil ki baat kahne ka ek yahi tariqa hai chhup ke sari duniya se ab gharon ke konon mein aap hi suna jae aap hi kaha jae