hijr ki andhi raaten

kanpkanpata sa badan barf si thandi raaten
ye qayamat si kai muddaton lambi raaten

ye sulagte hue jazbaat mein dahki raaten
nim si kadwi karele se kasili raaten

kitni zalim hain ye tanhai mein dubi raaten
tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten

tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten
mahfilen chup hain kabhi chikhti khamoshi hai

hosh mein rah ke bhi ek aalam-e-madhoshi hai
yaad ke hain kabhi nashtar kabhi sargoshi hai

hae phaili si hawason pe bhi be-hoshi hai
hijr ke khauf se hae dari sahmi raaten

tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten
tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten

hai bahaaran mein bhi bas ek khizan ka mausam
jaan lene pe utaru hai meri wahshat-e-gham

ashk dikhte hain lahu se bhala kaisa hai sitam
tum to kya jaano mere wahshat-e-dil ka aalam

barish-e-ashk se bhigi hui gili raaten
tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten

tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten
ek wo waqt tha gulshan mein bahaar aai thi

aarzu waqt ke ghode pe sawar aai thi
pairahan gham ka khushi pal mein utar aai thi

ab ye lagta hai jo aai thi udhaar aai thi
lamha lamha mujhe nagin si ye dasti raaten

tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten
tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten

ek ye waqt hai bas aalam-e-tanhai hai
gulshan-e-dil pe faqat gham ki ghata chhai hai

hae jazbaat ki mayyat pe pazirai hai
kya yahi main ne wafaon ki jaza pai hai

kuchh bhi sunti hi nahin hae ye beri raaten
tum pe utri hain kabhi hijr ki andhi raaten

tum pe utri hi nahin hijr ki andhi raaten


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close