aansu

wo ek aansu gira
wo dil ke athah sagar mein ek sadaf ka bhi munh khula

wo aasmanon ka surmai rang
us ke aansu mein ghul ke

rukhsar ke shafaq par baha
kahin dur ja ke dharti ke gahre patal mein gira

hazaron aakash-rang aansu
hawa ke tez aur tund jhonkon mein muntashir ho gae

samundar ki koh jaisi muhib maujon ke andhe ghaaron mein kho gae
magar wo aansu

wo ek moti
jo meri putli mein jad gaya hai

hazaron rangon ka majra hai
hazaron ashkon ka aaina hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close