hijr nagri

teri maujudgi maujud hai to phir
yahan sab kuchh

mujhe phika fana jaisa
sukut-e-marg jaisa lag raha hai kyon

na duniya hai na shor-o-ghul
na hangame

na dil ko khinchte maile jhamele hain
na logon ke tamashe hain na aankhon mein koi raunaq

na sanson mein hararat hai
na hathon mein qalam mere

na hi takiye tale ghazlen na hi nazmen
na zulfon ko sanwarna aa raha hai aur na ab eyebrow

mein hain dhanak qausen na mascare se palkon ko shab ki syahi di
na surme se banai tur si aankhen

na ab sadi pahanti hun
na ab patiyala shalwaren na kurte aur na chudi-dar pajame

na nakhun nail-polish se banati hun sitare main
na 'atif' ka koi gana suna hai aur na 'rahat' ki qawwali hi

ajab bezar se din-raat hain mere
na baadal hain na barish hai

na jugnu hain parinde hain
yunhi be-waqt roti hun

dama-dam bas
adhai tin tak main raat ke soti hun aakhir ye

hua kya hai mujhe 'sadi'
ye kya viranagi hai samne mere

mera kamra hai ya sahra
meri aankhen hain ya dariya

hua kya hai khule kuchh to
badi masum ladki hun

mujhe kab yaad hai main hun muqayyad kuchh dinon se
hijr nagri mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close