palak ke jhapakte kai sal bite main wapas jo lauti to main ne ye dekha mere ghar ki har chhat tapakne lagi thi dar-o-baam ka rang maddham pada tha wo aangan ki jis mein mahakti thi champa us aangan ka har phul murjha gaya tha faqat ek bargad ki tanha khada tha wo tanha tha aur jaane kya sochta tha khizaon ne har-su basera kiya tha yahi wo jagah thi jahan mera bachpan kai mehrban narm hathon mein guzra yahin par meri tund-khu dhadkanon ne nae mausamon ki bashaarat suni thi meri sari subhen meri sari shamen is aangan ki udti hui titliyan thin magar ek din aisi saat bhi aai mera ghar faqat chaar lafzon ki andhi aqidat ke aage aap hi aap chup-chap ho kar sabhi rabton se sabhi waston se alag ho gaya tha bayaz-e-nazar ke wo mauhum nuqte bhi phail ke daere ban chuke hain nai zindagi mein purane dinon ki haqiqat faqat kanch ki tutti chudiyan rah gai hai ki jin ko tashakhkhus ki hajat nahin hai