main ki la-intiha waqt ki rahguzar par sirf ek lamha-e-mukhtasar main ki ehsas-o-afkar ke bahr-e-zakhkhar mein sirf ek qatra-e-muztarib mein ki sahra-e-hasti ki tapti hui ret par sirf ek zarra sar-nigun main ki ek wusat kaenat-e-hasin mein sirf ek nuqta-e-be-sukun main wo qatra ki jis mein samundar ki betabiyan maujzan hain wo lamha jo mustaqbil-o-haal-o-mazi ka aaina hai main wo nuqta ki jo gardish-e-dahr ka aashna hai main wo zarra ki sahra-e-hasti ki tishna-labi apne dil mein chhupae main wo ek jism-e-nazuk ki jo nasl-e-insan ke dard aur isyan ka bar-e-garan apne sar par uthae main wo ek chashm-e-pur-shauq jis ke liye wusat-e-dasht-o-sahra bhi kam thi main ne phir chand taron par dali kamanden aasmanon ke wo jagmagate makin is anokhi jasarat pe sab muskurae main ki khud mahram-e-zauq-e-parwaz hamraaz sar-e-bulandi chand taron ki mahfil se nazren churae main ki khud saghar-e-shauq paimana-e-jazb-o-masti halqa-e-mai-gusaran se daman bachae main ki khud jurat-e-ehtiram-e-did khud jurat-e-ehtiram sirf ek jurat-e-arzu par pasheman main ki khud sare aalam ke dard-o-alam ki amin apne zakhmon ke aatish-nawai pe khandan main ki har raaz-e-sar-basta se aashna main ki aahang-e-hasti ki hamraaz hun main hun sadiyon ki khoi hui ek sada main anasir ka tuta hua saz hun