chunanche sar-e-sham hum sab kisi khandan-e-farangi se bahr-e-mulaqat nikle yahan mera ham sab se matlab hai wo dusre ham-watan aur padosi ki jo mulk-e-afrang ki is badi jamia mein husul-e-zar-e-ilm-o-danish ko aae hue the kisi se ye matlab hai hum ko khabar tak nahin thi ki hum sab kahan ja rahe hain kahan kis ko kis shakhs ki mezbani milegi bahar-haal ye taifa ajnabi mehmanon ka ek darmiyane se ghar mezbanon hi ki rahnumai mein pahuncha wahan hum se pahle bhi kuchh log maujud the riwayat-e-beganagi farangi mein basta tanabon mein barfile thithure hue yakh-zada mausamon mein muqayyad magar jin ke chehron pe un ki maishat ke rasmi shagufe khile the taaruf ki ek mukhtasar tez thandi si gardan so aakhiri nam ke aakhiri harf ki dubti chand lahren so aakhiri hath ke khurdure chand reze mere hafize mein to kuchh bhi nahin rah gaya tha chunanche taaruf ke sangin farshon ko ek bar phir se kureda to dekha sath sakht thi aur nakhun bade narm the is asna mein ek khanam mezban donon hathon mein saini uthae nabid-e-musaffa o gul-rang ke kuchh bilorin piyale sajae ba-sad-naz-o-andaz aain abhi is nabid-e-musaffa ke do chaar chakkar hue the ki bosida rasmon ki unchi faslen tassub ke tarik zindan takalluf ki chikni munderen tasanno ki pur-khar badhen sarasar ye sab gir gain aur ajnabi ham-watan ban gae