nind ke pas ek raat hai mere pas ek kahani hai jangal ke pas ek aurat thi aurat bachcha paida karne ke dard se mar rahi thi ek shikari wahan pahunch gaya aur bachche ki aankhon ke ewaz aurat ki madad karne par aamada ho gaya aurat ne judwan bachche jane shikari ke hath aankhon ki do jodiyan aain us waqt sikke ijad nahin hue the ek jodi aankh ke badle zindagi bhar ka saman kharida ja sakta tha jo log dusron ki aankhen hasil nahin kar sakte apni aankhon ka sauda kar lete har saude ki tarah bechte waqt aankhon ki sirf aadhi qimat hasil hoti thi aankhen bechne wale sirf aadhi zindagi kharid sakte the aurat ne shikari se juda ho kar apne bachchon ko jangal mein chhod diya jaisa ki us ne apne shauhar ko samundar mein chhod diya tha bachche bhediyon mein pal kar bade hue un mein se har ek dusre ko apni man ki kokh ka ghasib aur apni aankhon ke saude ka bais samajhne laga jab bailon mein panw tutne ki bimari phail jaane ki wajh se andhe ghulamon ki mang badh gai ek burda-farosh unhen bhediyon ke ghol se chura le gaya zamin mein jute hue andhe bhai hal le kar itni mukhalif samt mein chalte ki un ke aaqa ko khuda se darkhwast kar ke ek khad-khadane wala sanp un ke pichhe lagana pada main bahut dinon pahle is shahr ka muhasara karne aaya tha mere parcham par rahne wala uqab ud gaya mere sipahiyon ne apni talwar taksalon mein bech din ghode ne apni khaal mashkiza banane wale ko hadiya kar di shahr ki diwaron mein shigaf kahan hai ye us ke charwahon ko bhi malum hai aur un ki bhedon ko bhi magar ye jang ghaddaron aur chaupayon ko bhi kharid kar nahin jitna chahta main samundaron ko kashtiyon se aur talwar ko talwar se napta hun main ghulam aurat ka ghulam mard se paida hui aulad nahin jo ek ghulam shakh se kaman aur dusri ghulam shakh se tir banata hai main us khadkhadane wale sanp ko kuchal dunga aur judwan bhaiyon ke kandhe se jo utar kar use gahri khai mein phenk dunga main unhen le kar jangal mein nikal aaunga aur us shikari ko talash karunga jo bachcha paida karne ke ewaz us ki aankhen talab karta hai aur us man ko talash karunga jo baghair aankhon ke bachche ko chhod kar bhag jati hai ek din bechi hui aankhen shikari se sauda kar wo shakhs ko pahchan lengi aur andhe bachche us aadmi se aahani aankhen chhin kar apne shikari ko dhund nikalenge aur shikari se us aurat ka pata puchh kar rahenge jo unhen jangal mein chhod kar chali gai thi chahe wo aurat meri biwi hi kyon na ho