himala ke nokile badan se phisalti hui chanchal bunden us ke qadmon pe ja girin wo himala ke pairon ko chumti rahin aur alamiya git gati rahin mere mahbub hum ki bas teri dasiyan ban kar tere qadmon ko hamesha chumte rahna chahti hain, ye dhalwan hamein junub ki or jitna bhi aage baha le jae lekin ek din hum samundar se uthne wali hawaon ki rath par sawar ho kar phir se teri jaanib laut aaenge ye git dohraate hue tamam dasiyan apne mahbub ko aakhiri bosa de kar ek lambe safar ke liye nikal jatin hain jharna, nadi, dariya, samundar himala ki haibat se barf ho jaane wala suraj jab himala se lipti sard hawaon se na jit saka to apni haar ka badla lene himala ki dasiyon ke taaqub mein nikal padta hai jun jun dasiyan himala se dur hoti ja rahi hain is (suraj) ka qahr aag bin kar un (dasiyon) par barasta chala jata wo ek ek kar ke tamam dasiyon ko nigalna chahta hai aur wo aisa hi karta hai aur karta hi chala jata hai yahan tak ki har dasi ke gile badan se us ki ruh bhap ban kar ud jati la-zawal qurbani khuda qubul karta hai maut andhi ho jati hai aur zindagi pani ban kar un (dasiyon) ki ragon mein daudne lagti hai junub se uthne wali hawa in dasiyon ki pak ruhon ko apne kandhe par lade shumal ki jaanib wapsi ka safar kartin hain din hafte mahine dasiyon ko apna dewta phir nazar aane laga wo hawa ko kuchh aur tez chalne ko kahti wo sab bechain hain be-qarar hain wo apne narm honton se himala ke khakistari labon ko chumna chahti thin wo apne mahbub ko ye batana chahti hain ki teri mohabbat mein maut ne hum se hamara badan chhin liya hai har badli ke dil mein ye khwahish thi ki himala unhen apni banhon mein samete aur hamesha se sar uthae khade rahne wale himala ki chaudi chhati se takra kar baras jaana har badli ka khwab hai, dasiyan hawa se kuchh aur tez chalne par israr kartin hain lekin ab hawa ko ye sab dekhna bardasht nahin wo, in badliyon se chilla chilla kar kahti ai badliyo tum sab ehsan faramosh ho ki jab tumhein suraj ne jala kar bhap bana diya to tumhaari sukhi lashon ko main ne kandha diya wo main hi thi ki jis ne tumhein apni aaghosh mein bhara aur aasman tak le aai lekin aaj tum is himala par phir se apna sab kuchh qurban karne ko tayar ho! tum aaj phir us himala se takra kar barasna chahti ho tuf hai tumhaari diwangi par! hawa taish mein aa kar kuchh aur tez chalne lagti wo ek ek kar ke har badli ko himala ki chaudi chhati se takra deti aur badli apne mahbub ka lams mahsus karte hi ek-bar phir bundon mein bikhar jati hai aur himala ke qadmon pe girti har bund dobara wahi purana git dohraati hain ai mere mahbub hum ki bas teri dasiyan ban kar tere qadmon ko hamesha chumte rahna chahti hain, ye dhalwan hamein junub ki or jitna bhi aage baha le jae lekin ek din hum samundar se uthne wali hawaon ki rath par sawar ho kar phir se teri jaanib laut aaenge