andhere daudte hain raat ki viran aankhon mein charaghon ki jadon se raushni ka khun rista hai samundar kashtiyon mein chhed karti machhliyon se bhar gae aakhir musafir manzilon ki khwahishon se dar gae aakhir sada is qaid-gah se bhag jaane ki kadi koshish mein zakhmi hai zamin falij-zada honton ki jumbish se thahar jaane ko shayad kah rahi hai hawa ki sans thokar kha rahi hai