sukhe patton mein bhi hoti hai halchal banjar zamin mein bhi hoti hai bastiyan kyun na sikh main bhi lun in se zara ki maut abhi nahin aai hai tumhaari haar ko to haarna hai ek din tab tak kar lo koshishen hazar yun baith na jaana thak haar kar warna milenge tane bar bar dhadkanen hain jab tak sine mein tere tu rakhta hai himmat jujhne ki har mushkil haalat aur har tufan se dagmaga na raston se aur in surang se hausla rakh rakh bharosa khud mein apne aap mein khil uthega har kona tere andar ki aawaz se jit lega ek din to haari hui har bazi ko bhi