to kya zindagi ne tumhein wo sabhi kuchh diya jis ki tum aarzu-mand thin ki meri tarah tamanna ke kashkol khali rahe aur bakhshish ka lamha tumhein aur nadar kar ke guzar bhi gaya mujhe ye bataya gaya hai tumhaari umidon ki shadab faslon pe jab sang-bari hui to tute hue khwab ki kirchiyan apne ehsas ki sari viraniyon mein chhupa kar bhi tum ne ye zahir kiya jaise tumhaare qadam zamin par nahin pad rahe hon jaise tum aasmanon mein parwaz karti rahi ho garche aati jati hui ek ek sans mein koi aawaz tum se ye kahti rahi hina-rang hathon mein jhute nagine tumhaari kadi sadhna ka sila to nahin jis ke qadmon mein tum apne sajdon ke moti lutati ho wo tumhaari parastish ke laeq khuda to nahin to ab tum pe zahir hua! khwab tabir ke rang mein jagmagate nahin sarabon ki surat mein aadarsh jo hath aate nahin main to ye chahta tha ki har mod par tum ko la-hasili ke pareshan-kun tajrabe se bacha kar rakhun magar meri kamzor chahat tumhein ibtida-e-safar mein shikaston se do-chaar hote hue dekhti rah gai aur kuchh kar na pai ab? kisi samt bhi jao kanton bhari rah se hi guzarna padega apne aadarsh ki rifaton se utarne ki khatir ruh par jabr karna padega aur agar tum ne jhuti masarrat ka rangin labaada pahan bhi liya to apne pindar ka samna kis tarah kar sakogi?