main jis din paida hua usi din se mar raha hun wo table par pyale mein talkh mahlul rakha tha ab nahin hai wo ek dariya bahta tha use khushk kar diya gaya hai wo chhat se rassi tangi thi hata di gai hai main tamam umr apnon ke narghe mein raha hun mujhe mera pyala mera dariya meri rassi thodi der ke liye wapas kiye jaen main us piyale ko tod kar us ki mitti se ek dil banaunga jis mein koi talkh yaad nahin hogi main dariya mein apne khwab dal dunga unhen meri zarurat nahin main rassi se us kashti ko bandhunga jis mein ek aurat phulon ki tokari liye baithi hai jo mere marne ka tamasha nahin dekhna chahti