go khak ho chuka hai hindostan hamara phir bhi hai kul jahan mein palla garan hamara munh tak raha hai ab tak sara jahan hamara hai nam kishwaron mein wird-e-zaban hamara zarkhez hai sarasar ye gulistan hamara hai tair-e-tilai hindostan hamara bhaarat mein dekhte the hum sanaten jahan ki mashhur thi jahan mein karigari yahan ki wo baat hindiyon ne ghairon ke darmiyan ki jis par jhuki hai gardan amboh-e-sarkashan ki milta tha ilm-o-fan mein ham-sar kahan hamara hai tair-e-talai hindostan hamara taslim kar rahe hain espen aur japan sab mante hain loha german france-o-yunan america mein hai charcha is mulk ka numayan bhaarat ki saltanat par bartaniya hai nazan uncha hai aasman se ye aastan hamara hai tair-e-tilai hindostan hamara parbat ki chotiyan hain darban hamare dar ki daman mein jis ke pinhan kanen hain sim-o-zar ki gang-o-jaman pe jis dam sayyaad ne nazar ki sarsabz wadiyon se is ki nazar na sar ki kya ghairat-e-iram hai ye bostan hamara hai tair-e-tilai hindostan hamara paida kiye the jis ne arjun kanad gautam aaghosh mein pale the jis ki byas-o-bikram godi mein jis ki khele the bhim ram bhisham jin ke sabab se ab tak hai hindiyon mein dam-kham wo mulk-e-be-badal hai jannat-nishan hamara hai tair-e-tilai hindostan hamara