bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki bapu ke wardan ki nehru ke arman ki aaj ke tute khandaron par tum kal desh basaoge jo hum logon se na hua wo tum kar ke dikhlaoge tum nannhi buniyaaden ho duniya ke nae widhan ki bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki jo sadiyon ke baad mili hai wo aazadi khoe na din dharam ke nam pe koi bij phut ka boe na har mazhab se unchi hai qimat insani jaan ki bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki phir koi jai-chand na ubhre phir koi jafar na utthe ghairon ka dil khush karne ko apnon par khanjar na utthe dhan daulat ke lalach mein tauhin na ho iman ki bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki bahut dinon tak is duniya mein rit rahi hai jangon ki ladi hain dhan walon ki khatir faujen bhuke nangon ki koi lutera le na sake ab qurbani insan ki bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki rah na sake ab is duniya mein yug sarmaya-dari ka tum ko jhanda lahrana hai mehnat ki sardari ka hal hon ab mazduron ke aur kheti ho dahqan ki bachcho tum taqdir ho kal ke hindostan ki