hind hindostan walo tum ai hindu musalmano tumhi aapas ke kul jhagdon ko be-khatke mita sakte hain donon bulbul-e-shaida hai donon ka gulistan ye na tum bhi chhod sakte ho na wo bhi yan se ja sakte to phir kya faeda hai tum ko har-dam yun jhagadne mein agar mil-jul ke aapas mein ho kul bigdi bana sakte tumhaare kaam wo aaen tum un ka sath do har-dam kudurat dil ki us surat se donon ho mita sakte ujadte dekh kar is taur se khamosh rahna kya jo is ujdi hui basti ko ulfat se basa sakte jo tum chaho to is ki dhum ek aalam mein mach jae yahi hain wo ki jo ruthe huon ko hain mana sakte wahi hain laeq-e-tahsin 'kubra' baghbanon mein ki jo kumhlai kaliyon ko chaman ki hain khila sakte