zamin ki kai gardishen meri sochon ke patton mein chhup kar hasin reshmin sazishen bun rahi hain hasin reshmin sazishen jin se kal ki qaba aane wale dhundlakon ke ujle amame nai saaton ke dupatte bunenge hasin reshmin sazishen jin se unche mahallat ki khwab-gahon ke barik parde munaqqash ghilafon mein lipte hue narm takiye bunenge hasin reshmin sazishen aadmi ke liye apni aankhon se chhupne ki khwahish ko pura karengi nae aane wale maani ki uryaniyan dhanp lengi