sab se pahle hum mohabbat ko farz kar lete hain phir apne khwabon se use zarb dete hain jawab mein hamari zindagi hamein nahin milti hum ek bar phir mohabbat ko farz kar lete hain aur is dafa mohabbat ko khauf se taqsim kar dete hain jawab mein kuchh hasil nahin hota hum aakhiri bar mohabbat ko farz karte hain aur is mein se apne khwab aur khauf ghata lete hain hamari zindagi hamein mil jati hai mohabbat ke hisab mein ek se ziyaada chizen farz nahin ki ja saktin aur farz ki hui chiz mein hum apne khwab ya kuchh aur jama nahin kar sakte