wo khamosh thi apne dozakh mein jalti hui nil-gun paniyon ke shikanje mein jakdi hui ek machalti hui mauj-e-mahtab ki samt lapki magar ret par aa giri sip ugalti hui khamushi ke bhanwar se nikalti hui wo hansi aur hansi brazier mein se bahar phisalti hui ab wo ladki nahin sirf angdai thi ek tawanai thi nim-wa aankh mein kasmasati hui hath malti hui ek samundar tha biphra hua ek shab thi na dhalti hui