apni tahzib hai aur apni zaban hai urdu apne ghar mein magar afsos kahan hai urdu ahl-e-ulfat ke liye husn-e-rawan hai urdu ahl-e-dil ke liye dilkash hai jawan hai urdu aaj bhi 'ghaalib' o 'iqbaal' padhe jate hain aaj bhi kal ki tarah jadu-bayan hai urdu aaj bhi 'prem' ke aur 'krishn' ke afsane hain aaj bhi waqt ki jamhuri zaban hai urdu aaj bhi mulk ki azmat ke hain naghme is mein aaj bhi qaum ki hurmat ka bayan hai urdu aaj bhi bazm ki raunaq hai 'ata' is ke sabab mahfil-e-sher ki is waqt bhi jaan hai urdu