agar aaj bhi boli-tholi na hogi to holi thikane ki holi na hogi badi galiyan dega phagun ka mausam agar aaj thattha thitholi na hogi wo kholenge aawara mausam ke jhonke jo khidki sharafat ne kholi na hogi hai holi ka din kam se kam dopahar tak kisi ke thikane ki boli na hogi abhi se na chakkar laga mast bhanwre kali ne abhi aankh kholi na hogi ye boti pari ban ke udne lagegi zara gholiye phir se gholi na hogi isi jeb mein hogi fitne ki pudiya zara phir tatolo tatoli na hogi 'nazir' aaj aaenge milne yaqinan na aae to aaj un ki holi na hogi