harim-e-mahmil mein aa gaya hun salam le lo salam le lo ki main tumhaara amin-e-qasid khajil musafir aza ki wadi se laut aaya main laut aaya magar sarasima is tarah se ki pichhle qadmon palat ke dekha na guzre raston ke faslon ko jahan pe mere nishan-e-pa ab thake thake se gire pade the harim-e-mahmil mein wo safir-e-nawed-parwar jise zamane ke past o baala ne itne qisse padha diye the jo pahle qarnon ki tirgi ko ujal dete tumhein khabar hai ye mera sina qadim ahram mein akela wo ek haram tha azim raazon ke kohna tabut jis ki kadiyon mein bas rahe the unhin hawaon ka dar nahin tha na sahra-zadon ke nasli ka hi un ki gird-e-khabar ko pahunche harim-e-mahmil mein wo amanat ka pasban hun jo charm-e-ahu ke narm kaghaz pe likkhe name ko le ke nikla wahi ki jis ke sawar hone ko tum ne bakhsha jahaz-e-sahra tawil rahon mein khali mashkon ka bar le kar hazar sadiyan safar mein gardan kahin sarabon ki bahti chandi kahin chatanon ki sakht qashen mayan-e-rah-e-safar khade the jakadne wale nazar ke lobhi magar na bhatka bhatakne wala jo dam liya to aza mein ja kar harim-e-mahmil suno fasane jo sun sako to main chalte chalte safar ke aakhir pe aisi wadi mein ja ke thahra aur us pe guzre haris lamhon ke un nishanon ko dekh aaya jahan ke naqshe bigad gae hain jahan ke tabqe ulat gae hain wahan ki faslen zaqqum ki hain hawaen kali hain rakh ud kar khandar mein aise phunkarti hai ki jaise azhdar chahaar jaanib se jabde khole ghadar machate zamin pe kina nikalte hon kasif zahron ki thailiyon ko ghazab se bahar uchhaalte hon muhib sae mein dewtaon ka raqs jari tha tute hathon ki haddiyon se wo dohl-e-baatil ko pitte the zaif kawwon ne ahl-e-qarya ki qabren khodin tu un ke nakhun nahif panjon se jhad ke aise bikhar rahe the chakondaron ne chaba ke phenke hon jaise haddi ke khushk reze harim-e-mahmil wahi wo manzil thi jis ke sine pe main tumhaari nazar se pahuncha uthae mehr o wafa ke name wahin pe baitha tha sar-ba-zanu tumhaara mahram khandar ke bosida pattharon par hazin o ghamgin wahin pe baitha tha qatl-namon ke mahzaron ko wo padh raha tha jo pastiyon ke kotah hathon ne us ki qismat mein likh diye the harim-e-mahmil main apne naqa se niche utra to main ne dekha ki us ki aankhen khamosh o viran ghubar-e-sahra mizha pe larzan tha ret didon mein ud rahi thi magar sharafat ki ek lau thi ki us ke chehre pe narm haala kiye hue thi wo mere lahje ko jaanta tha hazar manzil ki duriyon ke satae qasid ke ukhde qadmon ki chap sunte hi uth khada tha dayar-e-wahshat mein bas raha tha pe teri sanson ke zer-o-bam se uthi hararat se aashna tha wo kah raha tha yahan se jao ki yan kharabon ke kar-khane hain roz o shab ke jo silsile hain khule khasaron ki mandiyan hain wo dar raha tha tumhaara qasid kahin khasaron mein bat na jae harim-e-mahmil main kya bataun wahin pe khoya tha mera naqa faqat kharabe ke chand lamhe hi us ke gude ko kha gae the usi maqam-e-tilism-gar mein wo ustakhwanon mein dhal gaya tha jahan pe bikhra pada tha pahle tumhaare mahram ka asp-e-tazi aur ab wo naqa ke ustukhwan bhi tumhaare mahram ke asp-e-tazi ke ustakhwanon mein mil gae hain harim-e-mahmil wahi wo patthar the jin pe rakkhe the main ne mehr o wafa ke name jahan pe zinda ruton mein bandhe the tum ne paiman o ahd apne magar wo patthar ki ab ajaib ki kargah hain tumhaare name ki us ibarat ko kha gae hain shifa ke hathon se jis ko tum ne raqam kiya tha so ab na naqa na koi nama na le ke aaya jawab-e-nama main na-murad o khajil musafir magar tumhaara amin qasid aza ki wadi se laut aaya aur us najib o karim mahram-e-wafa ke paikar ko dekh aaya jo aane wale dinon ki ghadiyan abad ki sanson se gin raha hai